Bus ke dushvaar hai har kaam ka asaan hona


Bass ke dushvaar hai har kaam ka asaan hona,
Aaadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona,

girya chaahe hai kharaabi mere kaashaane ki,
dar-o-deewaar se ttapke hai bayabaan hona,

vaaye-deewangi-e-shoq ki har damn mujh ko,
aap jaana udhar aur hi hairaan hona,

jalva az-bas-ki taqaaza-e-nigah karta hai,
johar-e-aayina bhi chaahe hai mizhgaan hona,

ishrat-e-qatl-gah-e-tamanna mat pooch,
eid-e-nazaara hai shamsheer ka uryaan hona,

le gayi khaak me ham daagh-e-tamanna-e-nashaat,
tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistaan hona,

ishrat-e-paara-e-dil zakhm-e-tamanna khaana,
lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e- namak-daan hona,

Kii mere qatl ke baad uss ne jafaa se tauba,
haaye us zood-e-pashemaan ka pashemaan hona,

haif uss chaar girah kaprre ki qismat “ghalib”,
jis ki qismat me ho aashiq ka garebaan hona..



Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review