Dil-e-nadan Tujhy hua kya hain


Dil-e-nadaan tujhe hua kya hain,
Aakhir is dard ki davaa kya hain,

Ham hain mushtaaq aur woh be-zaar,
Yaa ilaahi yeh maajraa kyaa hain,

Main bhi mu mein zabaan rakhta hoon,
Kash pucho ke mudaa kya hain,

Jab ke tujh bin nahin koi maujood,
Phir yeh hungama ae khudaa kya hain,

Yeh pari-chehra log kaise hain,
Ghamzaa-o-ishvaa o adaa kya hain,

Shikkan-e-zulf-e-ambreen kyun hain,
Nigah-e-chashm-e-suurma saa kya hain,

Sabza o gul kahaan se aaye hain,
Abr kya hai cheez hai havaa kya hain,

Ham ko un se wafaa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafaa kya hain,

Haan bhalaa kar tera bhalaa hoga,
Aur darvesh ki sadaa kya hain,

Jaan tum pr nisaar karta hoon,
Main nahin jaantaa duaa kya hain,

Main ne maana ke kuch nahin “ghalib”,
Muft haath aaye to buraa kya hain..
 


Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review