Yeh na thi hamari kismat ke visaal-e-yaar hota


Yeh na thi hamari kismat ke visaal-e-yaar hota,
Agar aur jeetey rehtey, yehi intezaar hota,

Tere vaade pr jiye hum to yeh jaan jhoot jaana,
Ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota,

Teri naazuki se jana ke bandha tha ehd-boda,
Kabhi tu na torr sakta agar ustuvaar hota,

Koi mere dil se puuche tere teer-e-neem-kash ko,
Yeh khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota,

Yeh kahan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh,
Koi charaa-saaz hota koi gham-gusaar hota,

Rag-e-sang se tapaktaa woh lahuu ke phir na thamta,
Jise gham samajh rahe ho yeh agar sharaar hota,

Gham agarche jaan-guseel hai pr kahan bachen ke dil hai,
Gham-e-ishq gr na hota gham-e-rozgaar hota,

Kahoon kis se main ke kya hai shab-e-gham buri balaa hai,
Mujhe kya buraa tha marna agar aik baar hota,

Huye mar ke hum jo rusvaa huye kyun na gharq-e-dariyaa,
Na kabhi janaaza uthta na kahin mazaar hota,

Ussey kaun dekh sakta ke yagaana hai woh yakta,
Jo duii ki buu bhi hoti to kahin do chaar hota,

Yeh masaayel-e-tasavvuf yeh tera beyaan Ghalib,
Tujhe hum walli samajhte jo na baada-khuwaar hota..



Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review