Mohsin Naqvi Love Collection


   Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
 
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua ?
Mujhay tu khair tera intazar karna hai
 
Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh
Kabhi yeah jashan sar e rah’guzaar karna hai
 
woh muskura kay naey waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha k ussay sharamsaar karna hai
 
Misaal e shaakh e barhana khizan ki rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bey barg o baar karna hai
 
terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai
 
Chalo ye ashak hi moti samajh kay baich aein
Kisi tarha tu humain rooz’gaar karna hai
 
Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
 
Khda janey ye koi zid, k shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Mohabat tark ki               
Mohabat tark ki may nay garaiban si liya may nay….!
Zamanay ab to khush ho zehr ye bhi pi liya may nay..!
 
Abhi zinda hoon lekn sochta rehta hoon khilvat may…!
K ab tak kis tamana kay saharay jee liya may nay….!

Tumhainy apna nahi skta mager itna bhi kiya kam hai..!
K kuch mudat haseen khaobon k saharay jee liya may nay..!
 
Bus ab to daman-e-dil chor do bekaar umeedo….!
Bahot dukh saih liye may nay bahot din jee liya may nay…!
 
Aik dard bhari cheekh hoon, nakaam dua hoon….!
Ujray huay maazi ki preshan sada hoon…..!
 
Geeton may samoya hai lahu apnay jigar ka….!
Naghmon kay saharay ye lahoo thook raha hoo…!
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Ha
 


Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review