Mohsin Naqvi Poetry


Itni muddat baad            
Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?
 
Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho
 
Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?
 
Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?
 
Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!
 
Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?
 
Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?
 
Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho
 
Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?
 
Kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho
 
Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho
 
Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?
 
Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho
 
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Misal e rang wo jhonka
Tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai
Misal e rang wo jhonka nazar bhi ata hai
Tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya
Hawa ki raah me ik aisa ghar bhi ata hai
Wo mujhko toot k chahay ga , chhor jaye ga
…mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai
Ujaar bann me utarta hai ik jugnoo bhi
Hawaa k sath koi hamsafar bhi ata hai
Wafa ki kon c manzil pe usne chora tha
K wo to yad humain bhul kar bhi ata hai
Jahan lahu k samandar ki hadd theherti hai
Waheen jazeera lal o guhar bbhi ata hai
Chalay jo zikar farishto ki parsaayi ka
To zer e behes maqaam e bashar b ata haii
Abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mere
K in safon me kaheen mera sarrr b ata hai
Kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyo se koi
Shuwaa e subh ki soorat utar b ataa hai
Esi liye me kisi shab na so saka mohsin
Wo maahtaab kabhi baaam per b ataa hai
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tujhe bhula dun ga        
Main dil pe jabar karun ga, tujhe bhula dun ga,
Marrun ga khud bhi tujhe bhi karri saza dunga…
 
Yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho,
Main tere shehr ke saare diye bhuja dun ga…

Hawa ka hath bataon ga har tabahi main,
Haray shajar se parinday main khud urra dun ga…
 
Waffa karun ga kisi sogwaar chehre se,
Purani qabar pe katbah naya saja dun ga…
 
Issi khayal mein guzri hai shaam-e-gham aksar,
Ke dard hadh se barrhe ga to muskura dun ga…
 
Barrha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri,
Main tere khat, teri tasveer tak jala dun ga…
 
Bohat dino se mera dil udaas hai ‘Mohsin’
Iss aaiine ko koi aks ab naya dunga…
 
 


Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review