Hujoom main tha woh khul ka na ro saka hoga


Hujoom main tha woh khul ka na ro saka hoga

Hujoom
 main tha woh khul ka na ro saka hoga,
Magar yaqeen hai ke shab bhar na so saka hoga,

Woh shaks jis ko samajhne main mujh ko umar lagi,
Bichar ke mujh se kisi ka na ho saka hoga,

Laraztay hath, shikassta si ddor sanson ki,
Woh khushk phool kahan tak piro saka hoga,

Mere liye woh qabeelay ko chor kar ata,
Mujhe yaqeen hai yeh us se na ho saka hoga..
 


Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review