Kuch bhi to nahi waisa


Kuch bhi to nahi waisa


Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jitna tujhay chaha tha
socha tha teray lab per
kuch herf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain gay meri khatir
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheelay thay jo ab tak
bay naam musafat main
likhnay ki mohabbat main
perhnay ki zaroorat main
 
bay sood riyazat thi
bay faiz ibadat thi
jo khawab bhi thay dekhay
in jaagti aankhon ne
 
sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay panay ki
dil k kissi goshay main
khawahish to bachali thi
 
laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi
 
is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai
 
ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhen aarai
na lafaz meray niklay
na herf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jaisa tujhay chaha tha


Rating :
0
0 votes

Be the first one to post a review!

Write a Review