|
Ramzan Kareem HaiLyrics: Bakhshish ka silsila hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Rehmat ka aasra hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Jo mango mil raha hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Ye faiz aur sakha hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Aye bekaso aye mujrimo aye aasiyo suno Gaffaar kibriya hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Har lehza barasti hai joh rehmat ki barishe Ye Rab ka mahina hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Bakhsha gaya joh aamade Ramzaa(n) pe khush hua Kya paya martaba hai Ramzaa(n) Kareem hai Isko mila sharaf hai nuzule Qur'an ka Jo rehmato shifa hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Shaitaan hai fikar na dozakh ka koi dar Dar khuld ka bhi wa hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Tujhko naseeb hogi bahare haram bhi ab Tune joh paaliya hai Ye Ramzan Kareem hai Sayyed Khuda ka shukr aada kar ke zeest me Baare digar mila hai yeh Ramzaa(n) Kareem hai Be the first one to post a review!
Write a Review |